Wednesday, August 19, 2015

Chahe manzil ho jaaye paar

Mahino, din bhar teri tasveer ko dekhte rahe
Tu itna badal gaya kaise, pooch te rahe
Jawab kuch mila nahin, raha buss yeh gila
Kahan muskurahat gayi teri, kaise tujhe yeh gham mila
Woh taqat, woh dilayri jiss ki tareef karte they log
Kaise bikhar gaya, kaise toot gaya abb pooch te hai log
Na toot sakta hai tu, na mera tehseen tere liye
Yeh ilm tujhe rakhna hoga mere na toot ne ke liye
Zindagi lambi nahi, yeh soch ke tu chal
Jo aaj bikhar gaya usey samet ne ko nahin koee kal
Kya hua jo aaj makan tera hai jala bujha hua
Jo aag tere seene mein hai usey na hone de dhuan
Yeh udas, yeh thaki hui teri aankhe sudhar le
Ja uss kafir ki baddua se iss mein bijli sawar le
Ek aag, ek vehshat apne andar tu paal
Ke laut aaye woh shaan aur rutbe wali teri chal
Ke abb thhan le, kabhi bhi na manenga tu haar
Na kabhi rukega tu rah mein, chahe miley mushkiley hazaar
Chahe manzil ho jaaye paar
Chahe manzil ho jaaye paar

No comments:

Post a Comment