Wednesday, July 29, 2015

Rishtey

Iss dasht bhari veerani mein
Kya khoya, kya paaya hum ne
Raith ke in teelon mein
Rishton ko bikhraa paaya hum ne

Iss mast mahaul ke andhere mein
Khud ko apne mein dubaya hum ne
Jab aankh khuli subah savere mein
Jaam ka kya, woh saaki bhi gavaya hum ne

Iss rishton kay juaa khel mein
Aaj poonji gavaya hum ne
Joh teri muskurahat thi meri aankhon mein
Aaj, usey bhi udaas paaya hum ne

Hum ishq ke naam ke parindey hai
Jab se yeh parr lagaya hum ne
Udd te the teri aanchal ke saaye mein
Woh parwaaz bhi aaj gavaya hum ne

Kitne toote rishtey hai
Kitnon ko gavaya hum ne
Kureda jab raith ke teelon mein
Apni hi laash paaya hum ne