Thursday, August 1, 2013

Ghareeb-ul-watan


Agar ghar mera zulmat se bhara na hota
Toh main bhi itni door dhoond ke roshni na aata

Magar

Jab itni door mein chala aaya
Jab anjaane dashto mein khud ko paya
Tab haqeeqat ne mujh ko pyar se samjhaya
“Ghar toh tera bhi beynoor na tha shayad
Kor tere hee ayn mein tha samaya shayad”


Abb yeh aalam hai kee
hum apne hee ghar mein hai mehman banke jaate
Aur padosiyan hamein hamare ghar angan khile phoolon ki kahani hai sunate

Hum suntey toh hai sub magar kehtey kuch nahin
Na aitrzaaz jatatey, na awaaz uthathe

Kyon kee

Agar woh Hubb-ul-watan hum mein jaga hota
Toh aaj Ghareeb-ul-watan hum na kehlatey.



Meaning of urdu words:

Ghareeb-ul-watan – Someone who lives away from his own country
Zulmat – Darkness
Dasht – Desert
Beynoor –  Without light
Kor – Sightless
Ayn - Eye
Aalam – Grief

Hubb-ul-watan – Love for one’s own country