Kuch yaad sa aa raha hai
Kahin dekha hai unhey pehle kahin
Kuch yaad sa aa raha hai dhundhla sa
Magar theek se kuch yaad nahin,
kahan? kabhi?
Haan shaayad dekha hai kahin
Magar tha woh khwab ya haqeeqat,
pata nahi
Woh chehra, apna sa, pehchaana sa
lag raha hai jo
Jaise mile pichle janam mein aur
bichad gaye ho
Woh pehchani si khusboo, woh
muskurahat woh baalon ki silvate
Kahan se, najaane, kaise hamare
zehan mein buss gaye woh
Aankhey bandh kar kay dil ki nazro
se dhoond leta hoon
Shaayad mere dil ke kisi gali mein woh
nazrey bhi mujhe dhoondti ho?
No comments:
Post a Comment