Pahadon pe sarhadey kheech di aise
Jaise bacche aangan mein gharonda khel rahe ho
Aur shehron ke saath viraasat bhi baant di aise
Jaise bacche uss khayali ghar ke, kamrey baant lete ho
Yeh lo mera hua khwab-gaah aur mujhe mila Meer, Dard aur Ghalib
Yeh lo tumhara hua Majlis aur tumhe le lo Faiz, Josh aur Iqbal
Yunh khud ka kar diya hum ne batwara lakeerey laand ke
Aur phir pee liya zehar gaaddha itna, ki abb tak halak se utra nahin
Yeh kya kam tha ke phir dil mein nishtaron se daairey khured diye
Ke pair zameen par rakkho aur haat khoon se rang jaate hai
Aur inn ka kya karey jin pe koee kaboo nahin, yeh havayein, yeh baadal, yeh chand aur sitarey.
Chalo inn ka bhi kar le batwara, inn par bhi kheech le sarhadey, tabhi toh koee baat baney
No comments:
Post a Comment