Agar ghar mera zulmat se bhara na
hota
Toh main bhi itni door dhoond ke
roshni na aata
Magar
Jab itni door mein chala aaya
Jab anjaane dashto mein khud ko paya
Tab haqeeqat ne mujh ko pyar se
samjhaya
“Ghar toh tera bhi beynoor na tha
shayad
Kor tere hee ayn mein tha samaya
shayad”
Abb yeh aalam hai kee
hum apne hee ghar mein hai mehman
banke jaate
Aur padosiyan hamein hamare ghar
angan khile phoolon ki kahani hai sunate
Hum suntey toh hai sub magar kehtey
kuch nahin
Na aitrzaaz jatatey, na awaaz
uthathe
Kyon kee
Agar woh Hubb-ul-watan hum mein jaga
hota
Toh aaj Ghareeb-ul-watan hum na
kehlatey.
Meaning of urdu words:
Ghareeb-ul-watan – Someone who lives away from his own
country
Zulmat – Darkness
Dasht – Desert
Beynoor – Without
light
Kor – Sightless
Ayn - Eye
Aalam – Grief
Hubb-ul-watan – Love for one’s own country